Back
Chapter 35

CHAPTER ³²

HIS INNOCENT THAKURAIN

RUDRAKSHA POV:

Me kafi late apne room me ata hu kavya bed per bohot sukoon se so rhi hoti hai mene halki drink ker rkhi hoti hai me jake kavya ke side me beth jata hu or uska wo khubsurat or masoom sa chehra dekhne lagta hu

"Kitni innocent ho tum kitna accha hota ager tum meri life me ati hi nhi ab tumhare sath jo kuch hoga wo kitna bura hoga"

"Rudra... rudra" subha kavya tyar hoke rudraksha ko uthati hai wo apne balo ki kuch bonde rudraksha ke face per dakti hai

"Rudra subha ho gai hai"

me jhat se apni ankhe kholta hu or kavya ka hath pakad leta hu or use gusse se ghoorne lagta hu

"Ye kya badtameezi hai jahil ho tum pata nhi hai kya koi so Raha hota hai to use preshan nhi kerte hai" me kavya ke hath ko mod deta hu

"Ahh rudra mujhe dard ho raha hai please" meri ankho me ansu a gay the aaj bohot din baad rudraksha itne gusse me the

"Ainda se mujhe preshan kerne se pehle 100 baar soch lena samjhi" me kavya hath chodta hu or room se bahar chala jata hu me thoda sa age jage ruk jata hu or sarcastic smile kerne lagta hu...

AUTHOR POV:

RUDRAKSHA ke room ki window ke pass ek aurat khadi evil smile kerke roti hui kavya ko dekh rhi thi

"Shatranj ka khel itna mushkil nhi rani to pehle hi gulam hai ye kya ldegi Raja ke liye" wo aurat waha se chali jati hai

Rudraksha or yash gym me the rudraksha apni boxing ki practice ker raha tha

"To tujhe kya lagta hai wo log ab kya krenge" Yash kafi tensed tha

"Chup ker waar"

"To ab hame kya kerna chahiye"

"Yash is waqt mere liye sabse zyada zaruri hai use protect kerna"

"Or ager fir se wohi sab hua to hum kya un logo ko rok payenge kya use protect ker payenge kya is siyasat ki jang me Jeet payenge" ysh gusse se chikhta hai

"Hum zarur jitenge Yash bharosa rakh" rudraksha Yash ke shoulder per hath rakhta hai to Yash use hug ker leta hai

"Use kuch nhi hona chahiye mere bhai uski hifazat keryo please"

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

"VO AGAYA HAI APNI SIYASAT LENE"

ek andhere kamre me kuch log bethe the jinki nazre ek badi si chair ki taraf thi jispe ek aurat bethi thi jiska chehra dikh nhi rha tha

"TUM DAR GAY KIYA" wo aurat ek tak samne deewar pe lagi ek badi si tasveer ko dekh rhi thi

"ME KYU DARUNGA" ek admi  barabar me betha cigarette pi raha tha

"DARNA BHI NHI CHAHIYE TUM MERE SATH HO" wo aurat bde rob se kehti hai

"Apko esa kyu lagta hai ki hum rudraksha singh thakur ko hara sekte hai" un sab me se ek admi bolta hai

"Hum sab nhi me use har dungi" wo aurat akad se hasti hai tum log abhi is kabil nhi ki jungle me sher ko hara sako...samne betha shaks apni mutthi kas ker band ker leta hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Rudraksha  stairs se niche ata hai or sidha bahar ki side jane lagta hai

"Rudra breakfast ker lijiye" aaj meri pehli rasoi thi me bde pyar se rudra se puchti hu

"Mujhe bhook nhi hai" me ek tok jawab dekar wapis Jane lagta hu

"Kya hua chore bhook kyu nhi hai dekh teri lugai ne aaj kitna swadisht khana bnaya hai" maa pyar se kehti hai

"Bas maa bhook nhi hai baad me khaunga... jay" me firse bahar chala jata hu mere piche jay bhi jane lagta hai

"Rudra" mene rudra ko rokna chaha per unhone ek baar bhi meri side nhi dekha

"Kya hua kavya tumhare or aksh ke beech jhagda hua hai"

"Nhi bua esa to kuch nhi hai aap halwa lijiye na"

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Usi andhere kamre me wo aurat bethi thi

"Sari tyari ho gai hai" ek admi uske piche se

"Sourav rudraksha kaha hai" wo aurat shatranj ki ek chal chalti hai

"rudraksha thakur waha pohoch gaya hai" sourav kehta hai

"Hmm..to kiska intezar hai"

"Tik tik 1..."

Shaam ke waqt ek sunsan road jiske dono side sirf desert the waha se ek sath 10 bhi zyada gadiya ja rhi thi

"Wo sab yaha agay hai" ek admi Sourav ko kehta hai wo car's abhi bhi tezi se waha se ja rhi thi

"Tik tik  2..."

"Do it"

"Tik tik  3... Boom"

Un car's ki beech wali car's ek dhamake se blast ho jati hai blast itna zyada bada tha ki wo sari car's uske sath blast ho jati hai or pure sunsan desert me aag ki lapte udni lagti hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Kavya bed per so rhi thi sote sote uski ankho se ansu beh rhe the usne kafi zor se bedsheet ko pakad rkha tha or neend me kuch kuch badbada rhi thi

"Rudra" kavya ek dum se bed se uthti hai or gehri gehri sanse lene lagti hai uska pura chehra pasine se bheeg jata hai

"Dadu wo bhai dadu bhai" Reyansh ghabrata hua dada ji ke room me jata hai or unka darwaza knock kerne lagta hai

"Kya hua Reyansh tu itna ghabra kyu rha hai" dadi ji jaldi se Reyansh ko pakadti hai

"Dadi sab khatam ho gaya hai dadi wo bhai..bhai ki gadi blast ho gai hai" Reyansh bhi zor zor se rone lagta hai

"Kyaa chore tu ye kya keh rha hai Tera dimag to kharab nhi ho gaya hai mera rudraksha kaha hai"

"Maa bhai ab hamare beech nhi rhe bhai mar chuke hai" Reyansh ke itna kehte hi ek zor dar thappad use padta hai Reyansh samne dekh ker thodi der ke liye sun ho jata hai

"Zaban sambhal ker bolo Reyansh bhulo nhi wo apke Bhai sa" kavya gusse  ki ankhe gusse se laal ho gai thi

"Bhabhi me khud waha dekh ker a rha hu waha sab khatam ho gaya hai kab barbad ho gaya hai bhai ab hamare beech nhi hai"

"Reyansh chup raho Reyansh chup rho ager tumne ab ek shabd or bola to hum tumhe jaan se maar denge" kavya  zor zor se Reyansh ko marne lagti hai

"Bahu tu shant hoja Pani pi" sab log pakad ker kavya ko bethate hai or Pani pilate hai

"Reyansh jay kaha hai wo theek to hai na" Kone me khadi Anika jo be yakeeni se sab dekh rhi   thi wo dheere se Reyansh se puchti hai

"Annu jay bhi bhai ke sath tha" anika ke chalte per ruk jate hai or wo herani se usko dekhne lagti hai

"Annu tu hosla rakh wo dono bilkul thik hai mera yakeen ker tu" kavya ake Anika ko gale laga leti hai Anika zor zor se rone lagti hai

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

"AK kaam ho gaya hai rudraksha singh thakur ab is duniya ko chod ker chala gaya hai"

"Sourav... sourav ye khel itna asan nhi hume jo kerna tha humne ker diya ab use jo kerna hoga wo krega"

"Per  ak"

.......................................................

Wo jagah abhi bhi aag se ghiri hui thi  waha fir se bohot sari car's ati hai pura thakur khandan bahar ata hai or door se us jagah ko dekhne lagta hai waha aag itni zyada thi kiwo pura ilaka din ki tarah Roshan ho rha tha

"Bhabhi ruko" kavya jo us aag ki taraf Jane lagti hai

"Mere piche koi nhi ayga" kavya ye kehke fir se waha jane lagti hai wo dheere dheere us aag ki taraf ja rhi thi

"Kavya beta ruk ja age bohot tez aag hai" sab use rokne ki koshish kerte hai

"Mene kaha mujhe koi nhi rokega". Kavya thodi or age chali jati hai

"Sorry ma'am per age bohot aag hai aap isse age nhi ja sekti hai" ek police officer kavya ka rasta rokta hai

"ME ISS SIYASAT KI RANI HU MERE

SAMNE SER JHUKAY OR MERA SAMMAN KARE"

.

Wo police officer side hota ahi kavya is aag ke bohot kareeb ajati hai wo apni laal hui ankho se us aag ko dekhti hai

"RUDRAKSHA SINGH THAKUR me janti hu aap Zinda hai or mujhe dekh bhi rhe hai or sun bhi rhe hai ye jang aaj shuru hoti hai or me iss jang ke liye tyar hu

MERI RAGO ME RAJPUTON KA KHOON NHI HAI PER ME EK RAJPUT KI PATNI HU OR MUJHE APNE UPAR PURA BHAROSA HAI

Hum ye jang Jeet lenge.." .

Kavya puri takat se cheekh ti hai or agle hi pal behosh hoke waha gir jati hai sab log kavya ko leke hospital jate hai

"Dr meri behen kavya theek hai" Yash waah Dr se puchta hai

"Dekeh thakurain sa bilkul theek hai belki wo to maa banne wali hai wo 1 month pregnant hai"

Dr baat se sab log kuch der ke liye chup ho gay the

"Ye kya ho gaya maa apne mere rudraksha mar gaya maa per apna ansh is duniya me chod gaya"  Ashwini parwati jise kehti hai Anika bhi hospital me admit thi

"Maa bhabhi ye waqt rone ka nhi hai hume kavya ko sambhalna hai himmat rakhe"

"Kese himmat karu Amrita ek bar fir wohi hua jo salo pehle hua ek bar fir humne apna thakur kho diya"

Share This Chapter