CHAPTER ³³
HIS INNOCENT THAKURAIN
AUTHOR POV:.
Four month later....
Suraj nikal gaya tha ek ladki aarti ki thali sajay chal rhi thi blue colour ka rajasthani lehenga pero or hato me alta mang me sindoor or gale me khandani mangalsutra hato me royal kade or rings wo kisi rani se kum nhi lg rhi thi wo ladki mandir me ati or aarti kerna shuru kerti hai uski madhur awaz Puri haweli me goonj rhi thi ek ek ker ke sare family members waha ajate hai or uske sath Puja kerne lagte hai Puja khatam hoti hai or wo sabko aarti deke dadi ke per chuti hai
"Kavya beta ye kya ker rhi ho esi halat me zyada jhuko mat bacche per galat asar padega"
"Kuch nhi hoga dadi bas aap ashirwad dijiye Hume" me muskura ker dadi ko jawab deti hu
"Hamesha khush raho or tumhara Ane wale baccha bhi hmesha khush rhe"
"Or ye bhi to kho ki sada suhagan raho" me chehre per pehle jese expression leke kehte hu per waha khade har insan ka chehra bata rha tha ki wo sab kya soch rhe hai
"Uski Tamanna kyu kerni jo ab is duniya me hai hi nhi" maa kehti hai
"Maa..mere rudra is duniya me hai hum se door hai iska matlab ye nhi ki wo hai nhi" me ye keh ker waha se chali jati hu or apna nashta kerne lagti hu
"Bhabhi aaj ki sari tyari ho chuki hai" Reyansh ake mujhe sab batane lagta hai
"Dadu sa ye kya ho raha hai aap ye shi nhi ker rhe hai rudraksha ja chuka hai siyasat ke hisab se ab ye gaddi meri honi chahiye"Â daksh tabal per zor se hath maar ker uthta hai or gusse se kehta hai
"Me janta hu daksh me kya ker Raha hu tumhe beech me bolne ki koi zarurat nhi hai" dadu sa Shanti se uska jawab dete hai
"Per dadu sa ye galat hai siyasat ke usool ke hisab se ye gaddi mere pati ki hone chahiye to fir"
"Rajni bhabhi siyasat ka path aap na to mujhe padhai or na hi dadu sa ko" me bilkul cold look se un dono ko dekhti hu or Shanti se unhe unki aukat ke hisab ka jawab deti hu
"Nhi dadu sa aap mujhse ye haq nhi cheen sekte hai jo mera hai use me har haal me le lunga" daksh gusse se mujhe dekhta hai or ek worning look deta hai me bhi use sarcastic smile ker ke or jalati hu
"Theek hai daksh tumhe jo kerna hai kerlo hum bhi to dekhe hamara popta or kitna niche gir sekta hai"Â dadu ek sarcastic smile kerke daksh ko dekhte hai
"Manik bhai chalne ki sari tyari karo muhrat nikal raha hai" me waha se bahar a jati hu mere piche sare Ghar Wale bhi a jate hai me apni car me bethti hu or mandir ke liye nikal jati hu
"Bhabhi ab hum kya karenge" Reyansh jo ki passenger seat per betha tha or yash bhai drive ker rhe the
"Kya krenge jo socha hai wohi karenge" me ek tak bahar dekh rhi thi
"Choti tu apne bare me soch apne bacche ke bare me soch is halat itna bada risk lena sahi nhi hai" Yash pareshan ho ker kehta hai
"Ye rudra ka baccha hai bhai ye apne baap ki tarah hi ek warrior hai to ise takatwar hona hoga"
Sab chup ho jate hai me bhi bahar dekhne lagti hu mujhe rudra ki bohot yaad a rhi thi 1 mahine unke biger bohot mushkilo se guzra hai mene apni ankhe band kerke un sab palo ke bare me socha jo mene or rudra ne sath me bitay the mene jab ankhe kholi to meri ankhe blood red ho gayi thi
"Bhabhi mandir a gaya hai"
reyansh ke kehte hi me car se bahar nikli or mere piche reyansh or Yash Bhai the or un sab ke piche pura thakur pariwar tha me ek Rani ki tarah chak rhi thi pure udaipur ke log hum logo per phool barsa rhe the or dhol nagade apni pure josh se baj rhe the samne maha Guru or pandit the
"Pranam maha Guru" mene dono hath jodh ker maha Guru ko padanam Kiya
"Pranam thakurain sa"
"Pooja ka muhrat hi gya hai Puja shuru kerte hai"
me mandir ke andar ajati hu or apni jagah per Jake Beth jati hu baki sab bhi a jate hai pandit ji bhi ake Puja shuru kerte hai bahar pure udaipur ke log bethe the puja kafi lambi chalti hai Puja khatam hone ke baad me or dadu sa mandir ke bahar ate hai meri ankho me kisi tarah ke koi emotions nhi the meri ankhe patthar ki tarah sakt thi jese Mera dill tha
"Me apne bacche ki Kasam khati hu ye gaddi sirf mere rudra ki hai" me apne pet per hath lgati hu or apne bacche ko mehsoos kerti hu
"Khamma ghani" Me apne hath jodh ker un sab logo ko pranam kerti puri bheed me ek aag si a gai thi kuch log mere sath ke nare lga rhe the kuch mere khilaf the
"Aaj maha Shivaratri ko hum INDRAJEET SINGH THAKUR ye elan kerte hai aaj se kuch mahino baad jab hamara Naya thakur is duniya me a jayga tab hum is siyasat ke Naya thakur ko unki gaddi sopenge"
"Hamara Naya thakur kon hai" puri bheed me ek aag si lag gai thi sab log janne ke liye betab the ki hamara Naya thakur kon hai
"Main"Â Ek thandi shant awaz sunke kuch der ke liye wo log samjh hi nhi pay ki akhir ye sab kya ho rha hai
"me KAVYA SINGH THAKUR is siyasat ki agli thakurain hu"
"Ji han kavya hi ab is siyasat ko age badhaygi or is gaddi ki thakurain bnegi" dadi sa sabko jese ye yakeen dilati hai ki me is siyasat ki agli thakurain hu ye sunne ke baad puri bheed gusse se bhadak jati hai or gusse se cheekhne lagti hai
"Ye vidva jisne ab tak apni mang ka sindoor nhi mitaya ye is siyasat ki thakurain bnegi" bheed me ek kehta hai
"Ye manhoos jo apne pati ko kha gai ye is siyasat ko bhi kha jaygi" bheed me sab alag alag bate ker rhe the
"BAS" me zor se chillati hu or waha mojood har saks kuch der ke liye chup ho jata hai
"ME ISS SIYASAT KI RANI HU MERE
SAMNE SER JHUKAY OR MERA SAMMAN KARE"
Me ek sherni ki tarah gurrati hu sab wha apna ser jhuka ker khade ho jate hai me us bheed me se nikal ker apni gadi me Beth jati hu Yash or reyansh mere piche car me Beth jate hai
"Mujhe hospital le chalo" thodi der baad hamari car hospital ke age ake rukti hai me andar jati hu or ek room ke age jake ruk jati hu
"Room no 301" me ek gehri sans leti hu or us room ke andar jati hu samne bed per annu thi or ek doctor use check ker rhi thi
"Khamma ghani thakurain sa" wo doctor mere pass ati hai
"Kesi hai ye" me abhi bhi annu ko dekh rhi thi
"Koi change nhi hai jab bhi hosh ata hai to kehti hai jay ko bulao kuch khati bhi nhi hai or ager zyada der hosh me rehti hai to bohot agressive hi jati hai isliye hme inhe neend ka injection lagana padha"
"Hm" wo doctor waha se chali jati hai me waha se washroom jati hu or apne kapde change ker leti hu ab mene ek normal sa suit pehna tha me wha sofe per Beth ker annu ke hosh me ane ka wait kerne lagti hu
Me apni ankhe band kerke rudra ke bare me sochne lagti hu unke sath bitay har ek lamha meri ankho ke samne ghoomna lagta hai
"Jay..jay" dheere dheere annu ko hosh ata hai or wo fir se jay ko bulane lagti hai me ek gehri sans leti hu or annu ke pass chali jati hu
"Annu kesi hai meri jaan" me annu ke pass bethti hu or uska ser sehlane lagti hu
"Kavya tu agai tune kaha tha tu jay ko laygi per kaha hai wo bahar hai use leke AA andar" annu paglo ki tarah bahar dekhne lagti hai or mujhse puchne lagti hai
"Annu shant hoja baccha jay ko abhi kuch kaam tha usne kaha hai wo shaam ko ayga tujhse milne tu wait ker or ye soup pi werna jay gussa ho jayga or ayga nhi"
"Nhi nhi kavya jay se kehna mene soup pi liya wo sham ko Ajay me use bohot Miss ker rhi hu"
"Han annu me keh dungi ki jay shaam ko ake tumse mile" me dheere dheere annu ko juice pilati hu me uske face ke expression dekh rhi thi uske face expression change ho rhe the ab wo bohot gusse se mujhe dekh rhi thi
"Annnuu" annu gusse se soup ka bowl side phek deti hai or mujhe dhakka de ker mera gala dabane lagti hai
"Jhooti kavya jay wapis nhi ayga wo to mar gaya hai tere pati ki wajah se mera pati bhi mar gaya kehti hai jay wapas ayga per nhi ab na to jay wapis ayga or nhi rudraksha dono mar chuke hai" annu bohot zor se mera gala dba rhi thi mujhe sans nhi a rhi thi
Tabhi ek dum se koi annu ko khichta hai or ek zor ka thappad mar deta hai thappad padte hi annu behosh ho jati hai
"Bhabhi theek hai aap" reyansh mujhe uthata hai or meri back rub kerne legta hai
"Kavya tu pagal hai tujhe pta nhi hai ki tu pregnant hai ya tujhe ye baccha chahiye nhi jo har roz is pagal ke pass khudko or iss bacche ki jaan ko khatre me dalne a jati hai" Yash Bhai bohot gusse se mujh per chillate hai
"Bhai meri annu pagal nhi hai wo truma me hai"
"Abhi wo mentally unstable hai baccha or is halat me tera iske pass ana theek nhi hai abhi tu ghar chal shaam ko yagya me bhi jana hai"
Me annu ko dekhti hu jisse doctor or nurse utha ker bed se bandh rhe the use dekh ker meri ankho se ansu ane lagte hai
.