Innocent Love
Shivika Short Stories
LOVE iss word mein kuch nahi hai but socho toh kisi ki zindagi badal sakti hai berang zindagi mein mein rang bhar sakte hai
ANIKA ek simple sweet but bold girl jo na galat sun sakti hai na sahi sakti hai sirf sabko pyaar karna or sikhna janti hai
SHIVAY ek aisa banda jise pata hi nahi pyaar kya hota hai kaise zindagi ka maza lete hai uska Dhyan Sirf study mein rahta hai or kisi bhi chiz mein nahi
Let's see kaise shivay pyaar karna sikhta hai ahm..mera matlab ka matlab pata chalta hai nai nai uffo rahne dete hai dekhte hai kya hota hai
Shivay last year student nerd type of student
And annika book iske palle nahi padti annika ki low marks ki wazah se uske family wale use hostel bhejna chahte hai but Anika family se dur kabhi rahi nahi toh wo maan nahi rahi ye problem annika ki mom uske friend se share karti hai uska bhai advice karta hai ki wo kuch dino ke liye annika ko unke yahan bhej de kiyu uska son collage ka topper hai uske sath annika kuch din rahegi toh wo thik ho jaye agar nahi hui toh dekha jaiga
annika ki mom maan jati hai or annika bhi kiyu ki ye hostel se better hai
Ek bade se mansion mein ek boy apne room study kar raha any guesses whose is this boi
Chal koi ni main hi bata deti hun it's shivay I know I know aap logo ne guess kar liya hoga
So hum kahan thy hmm Shivay study kar raha hai Tabhi uske room main Ek person aata hai
Person - shivay
Shivay - dad
Shivay's dad = SD
SD- beta wo tumhe ek baat batani thi
Shivay - jii bolye
SD -: wo tumhari maasi ki beti aa rahi hai kuch din rahne ke liye or tumhe usse study main help karni hai
Shivay - par dad wo or padhai dur dur tak koi rishta nahi hai or meri padhai bhi disturb karegi
SD - but beta maine tumhari maasi ko kah diya hai or wo kal morning main aa rahi hai or tumhe help karni hai samjhe
Shivay - ok dad
SD - or kal evening main main London nikal raha hun business meeting ke liye toh tumhe uska pura khayal rakhna hai
Shivay - main usko akele kaise sambhalunga
SD - sambhal loge I know
Shivay - ok
Next day
Anika mansion main enter karta hai
Anika - uncle main aa gayi
SD - welcome anika
Anika - uncle aap kaise hai aapki tabiyat kaisi hai
SD - main bilkul thik hun beta jaise tum dekh hi sakti ho
Anika - yess aap toh or bhi jawan ho rahe hai
SD - achha badmaash
Annika - mere teacher kahan hai
SD use confusion main dekhta hai
Anika - mera matlab aapke bholu ram
SD - oh shivaay ki baat kar rahi ho
Shivay - meri kya baat ho rahi hai yahan
Annika shivaay ko dekhta hai and jake hug karti hai and shivay's like " what the hell "
Anika - kaise ho tum maine tumhe miss nahi kiya waise
Annika hug break karti hai
Shivay - dur raho mujh se
And ek feet dur chali jaati hai Anika
Anika - mujhe koi bimari nahi hai jo paas rahoge toh pakar legi or mujhe tumhare paas rahne ka bhi shoq nahi hai samjhe
Shivay - toh aayi kiyu yahan chali jao
SD - shivay behave aise baat karte hai guest se
Shivay- guest hai toh guest ki tarah rahe chipak kiyu rahi hai
Anika - maine bas hug kiya par ab main tum se do feet ki duri par rahungi
SD - annika jao fresh hoke kuch kha lo
Anika - yess uncle mujhe bahot bhook lagi hai or isse baat karne ke baad or bhi jada
SD - jao tumhara room ready hai
Anika - ok uncle
Anika chali jati hai
SD - shivay aise baat nahi karni chahiye tumse tumhe pata hai wo bahot emotional type girl hai aise kitni bhi cool ho agar koi baat buri lag jaye use toh dobara uss insan se baat nahi kar ti
Shivay - toh main kaunsa baat karne ke liye mara ja raha hun na kare
SD - ok please one week uske sath achhe se behave kar lo uske baad main aa jaunga or main hi use padhai main help karunga thik hai
Shivaay - ok dad
Shivay ke dad evening main chale jate hai or annika tired ki wazah se so jati hai
Dinner main shivaay annika ka wait karta hai but wo aati nahi
Shivay - main kha leta hun jab use bhook lagegi kha legi
Shivaay dinner karke padhai karne chala jata hai
Midnight
Annika ko bhook lagi hai or wo kitchen main khane ke liye kuch dhund ne jati hai
Annika - are yaar iss new ghar mein khana kahan dhundu bahot bhook lagi hai
" kya kar rahi ho tum itni raat ko "
Anika apne heart par hath rakhti hai
Anika - aise koi aata hai jaan le liya tumne meri
Shivay - or tumne jo logo ki disturb kar rakha hai uska kya
Anika - mujhe bhook lagi hai
Anika small voice mein bolti hai
Shivay - toh dinner ke time kahan thi
Anika - tired thi na toh so gayi
Shivay - fridge mein leftover hoga garam karke kha lo
Anika shivay ki taraf innocently dekhti hai
Shivay - ab ye matt kahna ki tumhe garam karna bhi nahi aata
Anika nodded in negative
Shivay - kahan fasa diya dad
Shivay annika ko khana garam kar ke deke chala jata hai
Next day