Chapter 31: 31.

Shayaris & QuotesWords: 283

Ek umar bitani hai mujhe uske bagair,

Aur ek raat hai jo mujhse guzarti nahi....

***

Aaj bohot afsoos ho raha hai apne hal-e-zindagi par,

Kash tumse hadd me reh kar mohabbat karte...

***

Samjha do tum apni yaadon ko zara,

Din raat tang karti hai mujhe karzdaaron ki tarha...

#affy...